rah-e-yaqin pe guman ka ghubar aata hai
rah-e-yaqīñ pe gumāñ kā ġhubār aatā hai
jab us ko paar karo tab qarār aatā hai
tamām bhiiḌ chalātī hai ik ḳhudā se hī kaam
kisī kisī ke sahīfe meñ yaar aatā hai
'ajab nahīñ hai jo donoñ hī ho ga.e patthar
use bhī merī tarah intizār aatā hai
tirī pasand hī merī pasand hai shāyad
kabhī kabhī mujhe mujh par bhī pyaar aatā hai
dayār-e-sīna-e-ḳhālī se ḳhauf mat khaao
yahāñ pe dekhnā parvardigār aatā hai
maiñ garm-o-sard meñ uljhā huuñ mausam-e-dil ke
go bārishoñ kā mujhe ishtihār aatā hai
rah-e-yaqin pe guman ka ghubar aata hai
jab us ko par karo tab qarar aata hai
tamam bhiD chalati hai ek KHuda se hi kaam
kisi kisi ke sahife mein yar aata hai
'ajab nahin hai jo donon hi ho gae patthar
use bhi meri tarah intizar aata hai
teri pasand hi meri pasand hai shayad
kabhi kabhi mujhe mujh par bhi pyar aata hai
dayar-e-sina-e-KHali se KHauf mat khao
yahan pe dekhna parwardigar aata hai
main garm-o-sard mein uljha hun mausam-e-dil ke
go barishon ka mujhe ishtihaar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.