rahe hum un aankhon ke mastane barson
rahe ham un āñkhoñ ke mastāne barsoñ
pilāyā kiye mai vo paimāne barsoñ
rahī āmad-o-raft barsoñ ḳhudāyā
na hoñge farāmosh but-ḳhāne barsoñ
fidā tujh pe hote haiñ ai sham' fauran
lagāte nahīñ tere parvāne barsoñ
akele meñ hotā hai pal pal qayāmat
ji.e kis tarah ham ḳhudā jaane barsoñ
nahīñ qais kī jāñ-nashīnī kā dā'vā
magar ham ne chhāne haiñ vīrāne barsoñ
khulī dostī āzmā.ish meñ un kī
jin ahbāb ko ham na pahchāne barsoñ
nahīñ reh sake baaz ham ḳhud-kushī se
bahī-ḳhvāh to aa.e samjhāne barsoñ
'sha'ūr' aaj shab jo sunā.e haiñ tum ne
zabāñ-zad raheñge ye afsāne barsoñ
rahe hum un aankhon ke mastane barson
pilaya kiye mai wo paimane barson
rahi aamad-o-raft barson KHudaya
na honge faramosh but-KHane barson
fida tujh pe hote hain ai sham' fauran
lagate nahin tere parwane barson
akele mein hota hai pal pal qayamat
jie kis tarah hum KHuda jaane barson
nahin qais ki jaan-nashini ka da'wa
magar hum ne chhane hain virane barson
khuli dosti aazmaish mein un ki
jin ahbab ko hum na pahchane barson
nahin reh sake baz hum KHud-kushi se
bahi-KHwah to aae samjhane barson
'sha'ur' aaj shab jo sunae hain tum ne
zaban-zad rahenge ye afsane barson
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 144)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.