aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe jo shab ko hum us gul ke sat koThe par

Nazeer Akbarabadi

rahe jo shab ko hum us gul ke sat koThe par

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    rahe jo shab ko ham us gul ke saat koThe par

    to kyā bahār se guzrī hai raat koThe par

    ye dhūm-dhām rahī sub.h tak ahā-hā-hā

    kisī utrī hai jaise barāt koThe par

    makāñ jo aish haath aayā ġhair se ḳhālī

    paTe ke chalne lage phir to haat koThe par

    girāyā shor kiyā gāliyāñ diiñ dhuum machī

    ajab tarah huī vārdāt koThe par

    likheñ ham aish taḳhtī ko kis tarah ai jaañ

    qalam zamīn ke uupar davāt koThe par

    kamand zulf laTkā ke dil ko le liije

    ye jins yuuñ nahīñ aane haat koThe par

    ḳhudā ke vāste ziine raah batlāo

    hameñ bhī kahnī hai kuchh tum se baat koThe par

    lipaT ke so.e jo us gul-badan ke saath 'nazīr'

    tamām ho ga.iiñ hal mushkilāt koThe par

    rahe jo shab ko hum us gul ke sat koThe par

    to kya bahaar se guzri hai raat koThe par

    ye dhum-dham rahi subh tak aha-ha-ha

    kisi ki utri hai jaise baraat koThe par

    makan jo aish ka hath aaya ghair se KHali

    paTe ke chalne lage phir to hat koThe par

    giraya shor kiya galiyan din dhum machi

    ajab tarah ki hui wardat koThe par

    likhen hum aish ki taKHti ko kis tarah ai jaan

    qalam zamin ke upar dawat koThe par

    kamand zulf ki laTka ke dil ko le lije

    ye jins yun nahin aane ki hat koThe par

    KHuda ke waste zine ki rah batlao

    hamein bhi kahni hai kuchh tum se baat koThe par

    lipaT ke soe jo us gul-badan ke sath 'nazir'

    tamam ho gain hal mushkilat koThe par

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 83(196))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now