Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya

Khursheed Rizvi

rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    rahī hai parda-e-ulfat meñ maslahat kyā kyā

    adāvatoñ meñ huī hai mufāhamat kyā kyā

    mire aziiz vatan fazā ne bhar hai

    mirī sarisht ke andar munāfiqat kyā kyā

    kabhī usuul ġhairat kabhī ziyāñ savāl

    dimāġh-o-dil meñ rahī hai mushāvrat kyā kyā

    sadā-e-dil ko tah-e-dil meñ qaid kar ke rakhā

    rahā hai tauq-e-gulū shauq-e-āfiyat kyā kyā

    mahak thamī jo lahū to chauñk kar ham ne

    havā se pūchhī hai zaḳhmoñ ḳhairiyat kyā kyā

    bahut aziiz haiñ āñkhoñ putliyāñ lekin

    mile haiñ dukh bhī mujhe un ma.arifat kyā kyā

    bahut dinoñ meñ kal ā.īna sāmne kar

    huī hai umr-e-guzishta ta.aziyat kyā kyā

    aTā huā ba-sar-o-chehra sīm-o-zar ġhubār

    milī hai lāsha-e-afkār diyat kyā kyā

    nihāñ hai tarkash-e-imkāñ meñ nāvak-e-taqdīr

    mudām sar pe sitāre haiñ an-ginat kyā kyā

    rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya

    adawaton mein hui hai mufahamat kya kya

    mere aziz watan ki faza ne bhar di hai

    meri sarisht ke andar munafiqat kya kya

    kabhi usul ki ghairat kabhi ziyan ka sawal

    dimagh-o-dil mein rahi hai mushawrat kya kya

    sada-e-dil ko tah-e-dil mein qaid kar ke rakha

    raha hai tauq-e-gulu shauq-e-afiyat kya kya

    mahak thami jo lahu ki to chaunk kar hum ne

    hawa se puchhi hai zaKHmon ki KHairiyat kya kya

    bahut aziz hain aankhon ki putliyan lekin

    mile hain dukh bhi mujhe un ki marifat kya kya

    bahut dinon mein kal aaina samne pa kar

    hui hai umr-e-guzishta ki taziyat kya kya

    aTa hua ba-sar-o-chehra sim-o-zar ka ghubar

    mili hai lasha-e-afkar ki diyat kya kya

    nihan hai tarkash-e-imkan mein nawak-e-taqdir

    mudam sar pe sitare hain an-ginat kya kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now