Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahta hai ek hiras sa qadmon ke sath sath

Muneer Niyazi

rahta hai ek hiras sa qadmon ke sath sath

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    rahtā hai ik hirās qadmoñ ke saath saath

    chaltā hai dasht dasht-navardoñ ke saath saath

    hāthoñ rabt harf-e-ḳhafī se 'ajīb hai

    hilte haiñ haath raaz bātoñ ke saath saath

    uThtī huī fasīl-e-fuġhāñ hadd-e-shahr par

    galiyoñ chup qadīm makānoñ ke saath saath

    sūraj aab zahr hai rangoñ aab ko

    hai duur tak buḳhār bāġhoñ ke saath saath

    'uryāñ huā hai maah shab-e-abr-o-bād meñ

    jaise safed raushnī ġhāroñ ke saath saath

    aayā huuñ maiñ 'munīr' kisī kaam ke liye

    rahtā hai ik ḳhayāl ḳhvāboñ ke saath saath

    rahta hai ek hiras sa qadmon ke sath sath

    chalta hai dasht dasht-nawardon ke sath sath

    hathon ka rabt harf-e-KHafi se 'ajib hai

    hilte hain hath raaz ki baaton ke sath sath

    uThti hui fasil-e-fughan hadd-e-shahr par

    galiyon ki chup qadim makanon ke sath sath

    suraj ki aab zahr hai rangon ki aab ko

    hai dur tak buKHar sa baghon ke sath sath

    'uryan hua hai mah shab-e-abr-o-baad mein

    jaise safed raushni ghaaron ke sath sath

    aaya hun main 'munir' kisi kaam ke liye

    rahta hai ek KHayal sa KHwabon ke sath sath

    Source:

    8 Gazal Go (Pg. 21)

    • Author: javed Shaheen
      • Edition: 1968
      • Publisher: Maktaba Meri Library,Lahore
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now