rahun asir-e-qafas wo bhi umr bhar ke liye
rahūñ asīr-e-qafas vo bhī 'umr bhar ke liye
ye baat bā'is-e-zillat hai bāl-o-par ke liye
ham us ke saa.e meñ pal bhar sukūn pā na sake
kiyā thā sarf lahū ham ne jis shajar ke liye
mujhe ḳhayāl ye aayā tabassum-e-gul par
ye ehtimām-e-ḳhushī 'umr-e-muḳhtasar ke liye
nahīñ hai ḳhauf añdheroñ kā rāh-e-maqsad meñ
charāġh-e-‘azm hai raushan mere safar ke liye
nigāh-e-shauq kī āvārgī bajā lekin
koī hasīn nazāra to ho nazar ke liye
kahīñ ho jashn-e-charāġhāñ to kyā ġharaz ham ko
bas ik diye kī zarūrat hai apne ghar ke liye
hamārī tīra-nasībī kā ab ye 'ālam hai
ki ik diyā bhī mayassar nahīñ hai ghar ke liye
'ziyā' tum un ko tasallī bhī de nahīñ paa.e
taḌap rahe haiñ jo bīmār chārāgar ke liye
rahun asir-e-qafas wo bhi 'umr bhar ke liye
ye baat ba'is-e-zillat hai baal-o-par ke liye
hum us ke sae mein pal bhar sukun pa na sake
kiya tha sarf lahu hum ne jis shajar ke liye
mujhe KHayal ye aaya tabassum-e-gul par
ye ehtimam-e-KHushi 'umr-e-muKHtasar ke liye
nahin hai KHauf andheron ka rah-e-maqsad mein
charagh-e-‘azm hai raushan mere safar ke liye
nigah-e-shauq ki aawargi baja lekin
koi hasin nazara to ho nazar ke liye
kahin ho jashn-e-charaghan to kya gharaz hum ko
bas ek diye ki zarurat hai apne ghar ke liye
hamari tira-nasibi ka ab ye 'alam hai
ki ek diya bhi mayassar nahin hai ghar ke liye
'ziya' tum un ko tasalli bhi de nahin pae
taDap rahe hain jo bimar chaaragar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.