Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakh li mathe pe shikan uski nishani jaise

Dheerendra Singh Faiyaz

rakh li mathe pe shikan uski nishani jaise

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    rakh māthe pe shikan us nishānī jaise

    na.e ghar meñ ho rakhī chiiz purānī jaise

    aise bhūlī hai mirī aañkh hunar rone

    kisī jharne se bichhaḌ jaa.e ravānī jaise

    terī āñkhoñ se bhalā kaise haTā.ūñ āñkheñ

    mujh pe khulte nahīñ in ke ma.ānī jaise

    aa.ina kahne lagā kuchh kamī tujh meñ bhī hai

    ham ne bhī pūchh dharā us se ki ya.anī jaise

    vo kisī sher meñ Dhal jaa.e ġhanīmat varna

    us ko tafsīl se likkhūñgā kahānī jaise

    ham tire hijr meñ sahrā taraf kyoñ bhāgeñ

    ham ne sīkhī nahīñ ḳhaak uḌānī jaise

    maiñ ne har roz tujhe dil se nikālā to magar

    kisī dariyā se nikāle koī paanī jaise

    kyā burā hai ki jo bātin hai vahī zāhir hai

    ham ko aatī nahīñ baat banānī jaise

    rakh li mathe pe shikan us ki nishani jaise

    nae ghar mein ho rakhi chiz purani jaise

    aise bhuli hai meri aankh hunar rone ka

    kisi jharne se bichhaD jae rawani jaise

    teri aankhon se bhala kaise haTaun aankhen

    mujh pe khulte hi nahin in ke maani jaise

    aaina kahne laga kuchh kami tujh mein bhi hai

    hum ne bhi puchh dhara us se ki yani jaise

    wo kisi sher mein Dhal jae ghanimat warna

    us ko tafsil se likkhunga kahani jaise

    hum tere hijr mein sahra ki taraf kyon bhagen

    hum ne sikhi hi nahin KHak uDani jaise

    main ne har roz tujhe dil se nikala to magar

    kisi dariya se nikale koi pani jaise

    kya bura hai ki jo baatin hai wahi zahir hai

    hum ko aati hi nahin baat banani jaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now