Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakhi hai husn pe buniyaad-e-ashiqi maine

Afqar Mohani

rakhi hai husn pe buniyaad-e-ashiqi maine

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    rakhī hai husn pe buniyād-e-āshiqī maiñ ne

    ḳhushī se maut ko de hai zindagī maiñ ne

    kiyā kabhī na sivā tere ġhair ko sajda

    ḳharāb-e-shirk na rasm-e-bandagī maiñ ne

    ḳhudā.ī mil ga.ī sarkār-e-ishq se mujh ko

    ḳhudī ke badle talab jo be-ḳhudī maiñ ne

    chhalaktā sāġhar-e-mai ke chashm-e-sāqī se

    sikhā.ī saare zamāna ko mai-kashī maiñ ne

    bahār-e-gor-e-ġharībāñ na kyoñ lahad ho mirī

    ki jam.a hai zamāne bekasī maiñ ne

    badal ke rañg Darā.e na āsmāñ mujh ko

    mizāj-e-yār dekhī hai barhamī maiñ ne

    batā ke aib-o-hunar sher-goī ke 'afqar'

    sikhā.ī apne harīfoñ ko shā.irī maiñ ne

    rakhi hai husn pe buniyaad-e-ashiqi main ne

    KHushi se maut ko de di hai zindagi main ne

    kiya kabhi na siwa tere ghair ko sajda

    KHarab-e-shirk na ki rasm-e-bandagi main ne

    KHudai mil gai sarkar-e-ishq se mujh ko

    KHudi ke badle talab ki jo be-KHudi main ne

    chhalakta saghar-e-mai pi ke chashm-e-saqi se

    sikhai sare zamana ko mai-kashi main ne

    bahaar-e-gor-e-ghariban na kyon lahad ho meri

    ki jama ki hai zamane ki bekasi main ne

    badal ke rang Darae na aasman mujh ko

    mizaj-e-yar ki dekhi hai barhami main ne

    bata ke aib-o-hunar sher-goi ke 'afqar'

    sikhai apne harifon ko shairi main ne

    Source:

    Nazargah (Pg. 113)

    • Author: Afqar Mohani
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now