rakhte hain KHizr se na gharaz rahnuma se hum
rakhte haiñ ḳhizr se na ġharaz rahnumā se ham
chalte haiñ bach ke duur har ik naqsh-e-pā se ham
mānūs ho chale haiñ jo dil kī sadā se ham
shāyad ki jī uThe tirī āvāz-e-pā se ham
yā rab nigāh-e-shauq ko de aur vus.ateñ
ghabrā uThe jamāl-e-jahat-āshnā se ham
maḳhsūs kis ke vāste hai rahmat-e-tamām
pūchheñge ek din ye kisī pārsā se ham
o mast-e-nāz husn tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
tujh par nisār hote haiñ kis kis adā se ham
ye kaun chhā gayā hai dil o diida par ki aaj
apnī nazar meñ aap haiñ nā-āshnā se ham
rakhte hain KHizr se na gharaz rahnuma se hum
chalte hain bach ke dur har ek naqsh-e-pa se hum
manus ho chale hain jo dil ki sada se hum
shayad ki ji uThe teri aawaz-e-pa se hum
ya rab nigah-e-shauq ko de aur wusaten
ghabra uThe jamal-e-jahat-ashna se hum
maKHsus kis ke waste hai rahmat-e-tamam
puchhenge ek din ye kisi parsa se hum
o mast-e-naz husn tujhe kuchh KHabar bhi hai
tujh par nisar hote hain kis kis ada se hum
ye kaun chha gaya hai dil o dida par ki aaj
apni nazar mein aap hain na-ashna se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.