rakkha hai yun qiyam tere dar ke aas-pas
rakkhā hai yuuñ qiyām tire dar ke ās-pās
bhauñre kī juuñ uḌaan gul-e-tar ke ās-pās
jo mo'tabar nahīñ vo saf-e-avvalīñ meñ haiñ
rakkhā gayā hameñ saf-e-kam-tar ke ās-pās
kab multafit ho jaane vo sairāb kab kare
phirtī hai merī pyaas samundar ke ās-pās
aisī qanā’atoñ kī hai ne'mat 'atā huī
jaatī nahīñ huuñ maiñ havas-e-zar ke ās-pās
tark-e-ta'alluqāt to manzūr hai mujhe
phaTke na par raqīb tire dar ke ās-pās
bhaTkā rahā thā qais ko jo dasht-e-'ishq meñ
rahtā hai vo junūn mire sar ke ās-pās
us zulf kī misāl shab-e-tīra ke qarīñ
tamsīl ruḳh kī māh-e-munavvar ke ās-pās
is kā.enāt meñ tū hī markaz tū hī madār
haiñ gardisheñ mirī tire mehvar ke ās-pās
'nasrīn' DhūñDhnā hai dil-e-gum-shuda agar
mil jā.egā tujhe dar-e-dil-bar ke ās-pās
rakkha hai yun qiyam tere dar ke aas-pas
bhaunre ki jun uDan gul-e-tar ke aas-pas
jo mo'tabar nahin wo saf-e-awwalin mein hain
rakkha gaya hamein saf-e-kam-tar ke aas-pas
kab multafit ho jaane wo sairab kab kare
phirti hai meri pyas samundar ke aas-pas
aisi qana’aton ki hai ne'mat 'ata hui
jati nahin hun main hawas-e-zar ke aas-pas
tark-e-ta'alluqat to manzur hai mujhe
phaTke na par raqib tere dar ke aas-pas
bhaTka raha tha qais ko jo dasht-e-'ishq mein
rahta hai wo junun mere sar ke aas-pas
us zulf ki misal shab-e-tira ke qarin
tamsil ruKH ki mah-e-munawwar ke aas-pas
is kaenat mein tu hi markaz tu hi madar
hain gardishen meri tere mehwar ke aas-pas
'nasrin' DhunDhna hai dil-e-gum-shuda agar
mil jaega tujhe dar-e-dil-bar ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.