rakkha nahin tha tu ne mera dil sanbhaal kar
rakkhā nahīñ thā tū ne mirā dil sañbhāl kar
ab kuchh na kar sakegā lihāzā malāl kar
raqsāñ thī shab ko dhuup tumhāre ḳhayāl kī
fursat kā chāñd baiTh gayā dil sañbhāl kar
bāhar nikal ke dekh añdheroñ se ek baar
rakkhā hai raushnī ne kaleja nikāl kar
kahte haiñ dil jise kahīñ maujūd hī nahīñ
dekhā hai maiñ ne bārhā siina khañgāl kar
bāb-e-qafas khulā thā rihā tab na ho sake
ab kyā kareñ zamīn se rasta nikāl kar
aa.ī thī itnī yaad tire jism kī mahak
ham chūmne lage tire kapḌe nikāl kar
rakkha nahin tha tu ne mera dil sanbhaal kar
ab kuchh na kar sakega lihaza malal kar
raqsan thi shab ko dhup tumhaare KHayal ki
fursat ka chand baiTh gaya dil sanbhaal kar
bahar nikal ke dekh andheron se ek bar
rakkha hai raushni ne kaleja nikal kar
kahte hain dil jise kahin maujud hi nahin
dekha hai main ne barha sina khangal kar
bab-e-qafas khula tha riha tab na ho sake
ab kya karen zamin se rasta nikal kar
aai thi itni yaad tere jism ki mahak
hum chumne lage tere kapDe nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.