Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakkha sanjo ke gauhar-e-nayab ki tarah

Tabassum Azmi

rakkha sanjo ke gauhar-e-nayab ki tarah

Tabassum Azmi

MORE BYTabassum Azmi

    rakkhā sañjo ke gauhar-e-nāyāb tarah

    sauñpī thī jo buzurgoñ ne ādāb tarah

    uThte un ke harf bhī saare bikhar ga.e

    jin vajūd ghar meñ thā eraab tarah

    kuchh khurdure se dhāge bhī chādar meñ us haiñ

    kab zindagī hai resham-o-kam-ḳhvāb tarah

    dukh nahīñ haiñ zahr-e-halāhal faqat yahāñ

    sukh bhī milā hai bārhā zahrāb tarah

    aksar huā hai aisā ki chhoTī mauj bhī

    sab kuchh bahā ke le ga.ī sailāb tarah

    rakkha sanjo ke gauhar-e-nayab ki tarah

    saunpi thi jo buzurgon ne aadab ki tarah

    uThte hi un ke harf bhi sare bikhar gae

    jin ka wajud ghar mein tha erab ki tarah

    kuchh khurdure se dhage bhi chadar mein us ki hain

    kab zindagi hai resham-o-kam-KHwab ki tarah

    dukh hi nahin hain zahr-e-halahal faqat yahan

    sukh bhi mila hai barha zahrab ki tarah

    aksar hua hai aisa ki chhoTi si mauj bhi

    sab kuchh baha ke le gai sailab ki tarah

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now