Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rakkhe har ek qadam pe jo mushkil ki aagahi

Sabeela Inam Siddiqui

rakkhe har ek qadam pe jo mushkil ki aagahi

Sabeela Inam Siddiqui

MORE BYSabeela Inam Siddiqui

    rakkhe har ik qadam pe jo mushkil āgahī

    miltī hai us ko raah se manzil āgahī

    sīkhā hai aadmī ne ka.ī tajraboñ ke ba.ad

    tūfān se miltī hai sāhil āgahī

    us ḳhudā se rābta kuchh ajiib hai

    duniyā kahāñ samajhtī hai saa.il āgahī

    nazroñ e.atibār to hai phir bhī merā dil

    hai ik sahīfa jis meñ masā.il āgahī

    din-rāt jis ke pyaar meñ rahtī huuñ be-qarār

    us ko nahīñ hai kyuuñ dil-e-bismil āgahī

    yādoñ ke ik hujūm meñ rah kar patā chalā

    tanhā.ī bhī to rakhtī hai mahfil āgahī

    ḳhanjar e.atibār nahīñ vo to saaf hai

    lekin milegī ḳhuun se qātil āgahī

    mashq-e-suḳhan 'sabīla' nikhāregī fan ko aur

    matlūb hai kuchh aur abhī dil āgahī

    rakkhe har ek qadam pe jo mushkil ki aagahi

    milti hai us ko rah se manzil ki aagahi

    sikha hai aadmi ne kai tajrabon ke baad

    tufan se hi milti hai sahil ki aagahi

    us ka KHuda se rabta hi kuchh ajib hai

    duniya kahan samajhti hai sail ki aagahi

    nazron ka eatibar to hai phir bhi mera dil

    hai ek sahifa jis mein masail ki aagahi

    din-raat jis ke pyar mein rahti hun be-qarar

    us ko nahin hai kyun dil-e-bismil ki aagahi

    yaadon ke ek hujum mein rah kar pata chala

    tanhai bhi to rakhti hai mahfil ki aagahi

    KHanjar ka eatibar nahin wo to saf hai

    lekin milegi KHun se qatil ki aagahi

    mashq-e-suKHan 'sabila' nikhaaregi fan ko aur

    matlub hai kuchh aur abhi dil ki aagahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now