rang laegi hamari ashk-bari ek din
rang lā.egī hamārī ashk-bārī ek din
diid kī ḳhairāt hogī nā-gahānī ek din
'ishq kī nairangiyoñ meñ ye nahīñ mā'lūm thā
ham ko bhī sahnī paḌegī be-qarārī ek din
garche rūThā hai magar mujh se use nafrat nahīñ
hogā pahlū meñ mire vo āftābī ek din
phuul shabnam ḳhushbueñ haiñ dekhne kī muntazir
gulsitāñ meñ husn kī sad-gul-fishānī ek din
apnī taqsīrāt kā maiñ mo'tarif to huuñ magar
us pe zāhir hogī merī be-gunāhī ek din
mai-kashī se duur haiñ aise raheñge kab talak
shaiḳh sāhib kī luTegī pārsā.ī ek din
is qadar fayyāz honā bhī tumheñ achchhā nahīñ
tum ko le Dūbegī aisī ḳhair-ḳhvāhī ek din
ho 'atā ham ko suḳhan kī āshnā.ī ai ḳhudā
taaki 'fāḳhir' bhī kare gauhar-bayānī ek din
rang laegi hamari ashk-bari ek din
did ki KHairaat hogi na-gahani ek din
'ishq ki nairangiyon mein ye nahin ma'lum tha
hum ko bhi sahni paDegi be-qarari ek din
garche ruTha hai magar mujh se use nafrat nahin
hoga pahlu mein mere wo aaftabi ek din
phul shabnam KHushbuen hain dekhne ki muntazir
gulsitan mein husn ki sad-gul-fishani ek din
apni taqsiraat ka main mo'tarif to hun magar
us pe zahir hogi meri be-gunahi ek din
mai-kashi se dur hain aise rahenge kab talak
shaiKH sahib ki luTegi parsai ek din
is qadar fayyaz hona bhi tumhein achchha nahin
tum ko le Dubegi aisi KHair-KHwahi ek din
ho 'ata hum ko suKHan ki aashnai ai KHuda
taki 'faKHir' bhi kare gauhar-bayani ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.