ranjishen miT bhi gain to kuchh gila rah jaega
ranjisheñ miT bhī ga.iiñ to kuchh gila rah jā.egā
mere us ke darmiyāñ ik fāsla rah jā.egā
rafta-rafta bhuul jā.ūñgī use maiñ ek din
yaad kā baaqī magar kuchh silsila rah jā.egā
ye musāfir do ghaḌī bas sū-e-manzil haiñ ravāñ
sab chale jā.eñge ḳhālī rāsta rah jā.egā
yūñhī gar ik dūsre se phir bichhaḌ jā.eñge ham
ho ke phir koī na koī hādsa rah jā.egā
barg ho jā.eñge ik din shāḳh se apnī judā
'aks miT jā.eñge lekin aa.ina rah jā.egā
har taraf jab āñdhiyāñ vahshat bapā kar jā.eñgī
chār-sū phir vahshatoñ kā dā.era rah jā.egā
un ke ḳhat kā aasrā 'azrā' agar jaatā rahā
phir hamāre darmiyāñ kyā rābta rah jā.egā
ranjishen miT bhi gain to kuchh gila rah jaega
mere us ke darmiyan ek fasla rah jaega
rafta-rafta bhul jaungi use main ek din
yaad ka baqi magar kuchh silsila rah jaega
ye musafir do ghaDi bas su-e-manzil hain rawan
sab chale jaenge KHali rasta rah jaega
yunhi gar ek dusre se phir bichhaD jaenge hum
ho ke phir koi na koi hadsa rah jaega
barg ho jaenge ek din shaKH se apni juda
'aks miT jaenge lekin aaina rah jaega
har taraf jab aandhiyan wahshat bapa kar jaengi
chaar-su phir wahshaton ka daera rah jaega
un ke KHat ka aasra 'azra' agar jata raha
phir hamare darmiyan kya rabta rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.