raqs karne lage hain paimane
raqs karne lage haiñ paimāne
kaun aaya hai aaj maiḳhāne
'ishq meñ mar-miTe haiñ parvāne
ab hazāroñ baneñge afsāne
phir kabhī un se guftugū na huī
aag aisī lagā.ī duniyā ne
zindagī muḌ ga.ī usī jānib
jis taraf chal diye haiñ dīvāne
uñgliyāñ kāTnī paḌīñ sab ko
shart aisī rakhī zuleḳhā ne
vo mirā naam tak nahīñ lete
kaan kis ne bhare ḳhudā jaane
kal kisī ko na tū ne pahchānā
ab tujhe koī kaise pahchāne
band sab ek saath haiñ 'tābish'
mai-kade masjideñ sanam-ḳhāne
raqs karne lage hain paimane
kaun aaya hai aaj maiKHane
'ishq mein mar-miTe hain parwane
ab hazaron banenge afsane
phir kabhi un se guftugu na hui
aag aisi lagai duniya ne
zindagi muD gai usi jaanib
jis taraf chal diye hain diwane
ungliyan kaTni paDin sab ko
shart aisi rakhi zuleKHa ne
wo mera nam tak nahin lete
kan kis ne bhare KHuda jaane
kal kisi ko na tu ne pahchana
ab tujhe koi kaise pahchane
band sab ek sath hain 'tabish'
mai-kade masjiden sanam-KHane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.