raqs mein sath jo sahra ko bhi Dhaale hue hain
raqs meñ saath jo sahrā ko bhī Dhāle hue haiñ
ye kisī shahr-e-tamannā ke nikāle hue haiñ
rang-o-roġhan haiñ tire jism kā ye gard-o-ġhubār
terī zulfeñ haiñ badan par jo ye jaale hue haiñ
aah ko saaz banāte haiñ dukhoñ kī rut meñ
dil-shikasta haiñ par āvāz sañbhāle hue haiñ
dekhiye aur hameñ dekh ke hairat kiije
vo hiran haiñ ki jo barsāt meñ kaale hue haiñ
kaun sī aag meñ jaltā hai ye andar andar
bahte dariyā ke badan par jo ye chhāle hue haiñ
maiñ ne ḳhud apnī tabāhī ke maze luuTe haiñ
aur hairān mire chāhne vaale hue haiñ
qaid ho paanā ḳhayāloñ kā kahāñ mumkin hai
vaise zanjīr to ham paañv meñ Daale hue haiñ
raqs mein sath jo sahra ko bhi Dhaale hue hain
ye kisi shahr-e-tamanna ke nikale hue hain
rang-o-roghan hain tere jism ka ye gard-o-ghubar
teri zulfen hain badan par jo ye jale hue hain
aah ko saz banate hain dukhon ki rut mein
dil-shikasta hain par aawaz sanbhaale hue hain
dekhiye aur hamein dekh ke hairat kije
wo hiran hain ki jo barsat mein kale hue hain
kaun si aag mein jalta hai ye andar andar
bahte dariya ke badan par jo ye chhaale hue hain
main ne KHud apni tabahi ke maze luTe hain
aur hairan mere chahne wale hue hain
qaid ho pana KHayalon ka kahan mumkin hai
waise zanjir to hum panw mein Dale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.