Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasm hi nind ki aankhon se uTha di gai kya

Manzoor Hashmi

rasm hi nind ki aankhon se uTha di gai kya

Manzoor Hashmi

MORE BYManzoor Hashmi

    rasm niiñd āñkhoñ se uThā ga.ī kyā

    mire ḳhvāb ta.abīr batā ga.ī kyā

    āsmāñ aaj sitāroñ se bhī ḳhālī kyuuñ hai

    daulat-e-girya-e-jāñ raat luTā ga.ī kyā

    vo jo dīvār thī ik ishq-o-havas ke mābain

    mausam-e-shauq meñ is baar girā ga.ī kyā

    ab to is khel meñ kuchh aur mazā aane lagā

    jaan bhī daav pe is baar lagā ga.ī kyā

    aaj dīvāne ke lahje khanak raushan hai

    us āvāz meñ āvāz milā ga.ī kyā

    aaj bīmār ke chehre pe bahut raunaq hai

    phir masīhā.ī afvāh uḌā ga.ī kyā

    rasm hi nind ki aankhon se uTha di gai kya

    ya mere KHwab ki tabir bata di gai kya

    aasman aaj sitaron se bhi KHali kyun hai

    daulat-e-girya-e-jaan raat luTa di gai kya

    wo jo diwar thi ek ishq-o-hawas ke mabain

    mausam-e-shauq mein is bar gira di gai kya

    ab to is khel mein kuchh aur maza aane laga

    jaan bhi daw pe is bar laga di gai kya

    aaj diwane ke lahje ki khanak raushan hai

    us ki aawaz mein aawaz mila di gai kya

    aaj bimar ke chehre pe bahut raunaq hai

    phir masihai ki afwah uDa di gai kya

    Source:

    Sukhan Aabaad (Pg. 72)

    • Author: Manzoor Hashmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Manzoor Hashmi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now