rasta bahut aasan laga hum ko wahan tak
rasta bahut āsān lagā ham ko vahāñ tak
saa.e tirī palkoñ ke rahe saath jahāñ tak
kyā hogā agar Tuut ga.ī niiñd hamārī
ham aa to ga.e ḳhvāb meñ chal kar ke yahāñ tak
samjho to zarā hotī hai kyā pyaas kī shiddat
aao to zarā saath mire jū-e-ravāñ tak
kyā so ga.e bastī ke sabhī log sar-e-shām
kyoñ chhat pe kisī ghar kī nahīñ aaj dhuāñ tak
ab soch rahā huuñ ye anā toḌ hī Dālūñ
laḌtā rahūñ parchhā.īñ se maiñ apnī kahāñ tak
sar apnā paTaktī haiñ vahāñ aaj bhī maujeñ
pahuñchā hī nahīñ paanī jahāñ tishna-labāñ tak
ahbāb 'nafīs' aap ko ab DhūñDeñ bhī kyūñkar
sahrā meñ to kho jaate haiñ qadmoñ ke nishāñ tak
rasta bahut aasan laga hum ko wahan tak
sae teri palkon ke rahe sath jahan tak
kya hoga agar Tut gai nind hamari
hum aa to gae KHwab mein chal kar ke yahan tak
samjho to zara hoti hai kya pyas ki shiddat
aao to zara sath mere ju-e-rawan tak
kya so gae basti ke sabhi log sar-e-sham
kyon chhat pe kisi ghar ki nahin aaj dhuan tak
ab soch raha hun ye ana toD hi Dalun
laDta rahun parchhain se main apni kahan tak
sar apna paTakti hain wahan aaj bhi maujen
pahuncha hi nahin pani jahan tishna-laban tak
ahbab 'nafis' aap ko ab DhunDen bhi kyunkar
sahra mein to kho jate hain qadmon ke nishan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.