Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raste mein to KHatraat ki sun-gun bhi bahut hai

Raoof Khair

raste mein to KHatraat ki sun-gun bhi bahut hai

Raoof Khair

MORE BYRaoof Khair

    raste meñ to ḳhatrāt sun-gun bhī bahut hai

    manzil pe pahuñchne hameñ dhun bhī bahut hai

    har shahr meñ taaza hai to bas zaḳhm-e-ta.assub

    kuchh lazzat-e-nāhaq ta.āvun bhī bahut hai

    kuchh hāthoñ se kuchh mātoñ se kālak nahīñ jaatī

    har chand ki bāzār meñ sābun bhī bahut hai

    vo haath tahaffuz alāmat jise kahiye

    mahsūs ye hotā hai vahī sun bhī bahut hai

    ik jism ke mānind haiñ ham log kahīñ hoñ

    Thokar se ukhaḌtā hai to nāḳhun bhī bahut hai

    ham sher kahā karte haiñ vijdān ke bal par

    kuchh logoñ ko zo.am-e-fa.ilātun bhī bahut hai

    raste mein to KHatraat ki sun-gun bhi bahut hai

    manzil pe pahunchne ki hamein dhun bhi bahut hai

    har shahr mein taza hai to bas zaKHm-e-tassub

    kuchh lazzat-e-nahaq ka taawun bhi bahut hai

    kuchh hathon se kuchh maton se kalak nahin jati

    har chand ki bazar mein sabun bhi bahut hai

    wo hath tahaffuz ki alamat jise kahiye

    mahsus ye hota hai wahi sun bhi bahut hai

    ek jism ke manind hain hum log kahin hon

    Thokar se ukhaDta hai to naKHun bhi bahut hai

    hum sher kaha karte hain wijdan ke bal par

    kuchh logon ko zoam-e-failatun bhi bahut hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 646)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now