raunaqen dar ki baDhate hue
raunaqeñ daar kī baḌhāte hue
maiñ mirā 'ahd ko nibhāte hue
raushnī zaḳhm kī kuchh aur baḌhī
shahr ko rāsta dikhāte hue
mere andar kā shor baḌhtā gayā
chup kī dīvār ko uThāte hue
ḳhud-kalāmī kī paḌ ga.ī 'ādat
vasvasoñ kī chitā jalāte hue
hijr kī talḳhiyāñ ki baḌhtī ga.iiñ
fāsloñ kā galā dabāte hue
kaise kaise jatan kiye maiñ ne
tere pahlū meñ ghar banāte hue
jaane kis karb se maiñ guzrūñgā
mere 'amjad' tujhe bhulāte hue
raunaqen dar ki baDhate hue
main mera 'ahd ko nibhate hue
raushni zaKHm ki kuchh aur baDhi
shahr ko rasta dikhate hue
mere andar ka shor baDhta gaya
chup ki diwar ko uThate hue
KHud-kalami ki paD gai 'adat
waswason ki chita jalate hue
hijr ki talKHiyan ki baDhti gain
faslon ka gala dabaate hue
kaise kaise jatan kiye main ne
tere pahlu mein ghar banate hue
jaane kis karb se main guzrunga
mere 'amjad' tujhe bhulate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.