raushni aur rang ke raqsan sarabon ki taraf
raushnī aur rang ke raqsāñ sarāboñ kī taraf
aao tum ko le chaleñ ham apne ḳhvāboñ kī taraf
kaisī kaisī mahfileñ barpā kiye baiThe haiñ ham
dekh lo aakar kabhī apne ḳharāboñ kī taraf
bhuul baiThe the zamīñ ke aadmī kī sarhadeñ
ham bhī maa.il ho ga.e the māhtāboñ kī taraf
zindagī pahle savāloñ par hamāre hañs paḌī
phir ishāra kar diyā sūkhe gulāboñ kī taraf
ham kitāboñ se nikal kar zindagī paḌhne ga.e
thak ke lekin lauT aa.e phir kitāboñ kī taraf
ham kabhī tai hī nahīñ kar paa.e apnī kaifiyat
kab gunāhoñ kī taraf haiñ kab savāboñ kī taraf
raushni aur rang ke raqsan sarabon ki taraf
aao tum ko le chalen hum apne KHwabon ki taraf
kaisi kaisi mahfilen barpa kiye baiThe hain hum
dekh lo aakar kabhi apne KHarabon ki taraf
bhul baiThe the zamin ke aadmi ki sarhaden
hum bhi mail ho gae the mahtabon ki taraf
zindagi pahle sawalon par hamare hans paDi
phir ishaara kar diya sukhe gulabon ki taraf
hum kitabon se nikal kar zindagi paDhne gae
thak ke lekin lauT aae phir kitabon ki taraf
hum kabhi tai hi nahin kar pae apni kaifiyat
kab gunahon ki taraf hain kab sawabon ki taraf
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 76)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.