aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki

Sabahat Urooj

reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki

Sabahat Urooj

MORE BYSabahat Urooj

    re.āyā de rahī thī shauq se begār jismoñ

    yahī taqdīr hai aaqā yahāñ nādār jismoñ

    girā Dālegī tujh pe āsmāñ jo sarsarāhaT hai

    tumhāre paañv nīche reñgte bedār jismoñ

    muarriḳh goliyoñ ke ḳhol ginte rahe the aur

    hikāyat likh rahe the ham yahāñ mismār jismoñ

    mohabbat sirf kahne ko ta.alluq tel paanī

    riyāzat umr bhar karte rahe be-kār jismoñ

    ḳhudā terā nizām-e-adl rabb-ul-ālamīñ terā

    sharī.at tujh ko detī hai ijāzat chaar jismoñ

    use to fikr dāman-gīr thī shah ke qasīde

    kahānī ik taraf rakkhī rahī bīmār jismoñ

    badan chhoḌo sabāhat ho sake to ruuh ko thāmo

    koī dam girne vaalī hai yahāñ dīvār jismoñ

    reaya de rahi thi shauq se begar jismon ki

    yahi taqdir hai aaqa yahan nadar jismon ki

    gira Dalegi tujh pe aasman jo sarsarahaT hai

    tumhaare panw niche rengte bedar jismon ki

    muarriKH goliyon ke KHol ginte ja rahe the aur

    hikayat likh rahe the hum yahan mismar jismon ki

    mohabbat sirf kahne ko talluq tel pani sa

    riyazat umr bhar karte rahe be-kar jismon ki

    KHuda tera nizam-e-adl rabb-ul-alamin tera

    shariat tujh ko deti hai ijazat chaar jismon ki

    use to fikr daman-gir thi shah ke qaside ki

    kahani ek taraf rakkhi rahi bimar jismon ki

    badan chhoDo sabahat ho sake to ruh ko thamo

    koi dam girne wali hai yahan diwar jismon ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now