Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

reg-e-yaKH-basta ko pahle aag par rakkha gaya

Javed Sahil

reg-e-yaKH-basta ko pahle aag par rakkha gaya

Javed Sahil

MORE BYJaved Sahil

    reg-e-yaḳh-basta ko pahle aag par rakkhā gayā

    phir hamāre jism ko us ret par rakkhā gayā

    jazba-e-iḳhlās us ko sazā aise milī

    umr-bhar vo pattharoñ se bāñdh kar rakkhā gayā

    har taraf ik nuur sailāb jaarī huā

    neza-e-zulmāt par sūraj sar rakkhā gayā

    zindagī ne ek pal bhī na diyā mujh ko sukūñ

    merī qismat meñ hamesha safar rakkhā gayā

    ek muddat se haiñ vīrāñ qasr-e-dil ke tāqche

    kyoñ charāġhoñ ko jalā kar taaq par rakkhā gayā

    ḳhvāb-e-shīrīñ bashārat ga.ī pahle mujhe

    aur phir āñkhoñ ko merī baam par rakkhā gayā

    kyā banā.egā mujhe ye kūza-gar ko hai ḳhabar

    āḳhirash miTTī ko merī ḳhaak par rakkhā gayā

    mehr ko pahle hifāzat par kiyā māmūr phir

    us ridā-e-sabz par āb-e-guhar rakkhā gayā

    jaane kitne āshiyāñ the raah meñ us magar

    kyoñ hadaf par bijliyoñ ke merā ghar rakkhā gayā

    dasht-e-jāñ meñ har taraf phailī huī thī tīrgī

    aur jugnū ko hamāre haath par rakkhā gayā

    vo hañsā aur hañs ke us ne Daal apnī sipar

    jab shikhanDī jang meñ sīna-sipar rakkhā gayā

    reg-e-yaKH-basta ko pahle aag par rakkha gaya

    phir hamare jism ko us ret par rakkha gaya

    jazba-e-iKHlas ki us ko saza aise mili

    umr-bhar wo pattharon se bandh kar rakkha gaya

    har taraf ek nur ka sailab sa jari hua

    neza-e-zulmat par suraj ka sar rakkha gaya

    zindagi ne ek pal bhi na diya mujh ko sukun

    meri qismat mein hamesha ka safar rakkha gaya

    ek muddat se hain viran qasr-e-dil ke taqche

    kyon charaghon ko jala kar taq par rakkha gaya

    KHwab-e-shirin ki bashaarat di gai pahle mujhe

    aur phir aankhon ko meri baam par rakkha gaya

    kya banaega mujhe ye kuza-gar ko hai KHabar

    aaKHirash miTTi ko meri KHak par rakkha gaya

    mehr ko pahle hifazat par kiya mamur phir

    us rida-e-sabz par aab-e-guhar rakkha gaya

    jaane kitne aashiyan the rah mein us ki magar

    kyon hadaf par bijliyon ke mera ghar rakkha gaya

    dasht-e-jaan mein har taraf phaili hui thi tirgi

    aur jugnu ko hamare hath par rakkha gaya

    wo hansa aur hans ke us ne Dal di apni sipar

    jab shikhanDi jang mein sina-sipar rakkha gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now