Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ret ret har chehra in mein tu juda ho ja

Zarina Zarreen

ret ret har chehra in mein tu juda ho ja

Zarina Zarreen

MORE BYZarina Zarreen

    ret ret har chehra in meñ judā ho

    ban sake masīhā to jazba-āshnā ho

    reza-reza ā.īna aur jāñ-gusil lamhe

    ġham ko mere gum kar de dard davā ho

    naav apnī kyoñ Duube makr ke samundar meñ

    aap apnā sāhil ban ḳhud nāḳhudā ho

    zindagī hāsil to ḳhāmushī nahīñ sā.īñ

    harf harf chingārī bhar le lab-kushā ho

    ruuh ke sharāre se bijliyāñ kauñdeñgī

    zaḳhm-e-dil rafū kar le ġhaib nidā ho

    ret ret har chehra in mein tu juda ho ja

    ban sake masiha to jazba-ashna ho ja

    reza-reza aaina aur jaan-gusil lamhe

    gham ko mere gum kar de dard ki dawa ho ja

    naw apni kyon Dube makr ke samundar mein

    aap apna sahil ban KHud hi naKHuda ho ja

    zindagi ka hasil to KHamushi nahin sain

    harf harf chingari bhar le lab-kusha ho ja

    ruh ke sharare se bijliyan si kaundengi

    zaKHm-e-dil rafu kar le ghaib ki nida ho ja

    Source:

    Shair (Pg. 24)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now