reza-reza lamha-lamha ghaT rahi hai zindagi
reza-reza lamha-lamha ghaT rahī hai zindagī
jānte sab haiñ haqīqat 'ārzī hai zindagī
lag rahā hai koī apnā hī nahīñ jaise yahāñ
saath ġhairoñ ke hamārī yuuñ kaTī hai zindagī
aate jaate marhale hī unsiyat ko khā ga.e
koft meñ guzre yaqīnan tīrgī hai zindagī
sab khilāḌī haar baiThe bāziyāñ apnī yahāñ
khel bhī kyā kyā nirāle kheltī hai zindagī
rab se ġhāfil jo hue to ranj-o-ġham hī pāoge
'ain mumkin ḳhvār honā lāzmī hai zindagī
jo lakīreñ dekh kar dā'vā ḳhudā.ī kā kare
chal nujūmī ye batā kitnī bachī hai zindagī
ḳhuub ujḌā ḳhuub sañvrā āfatoñ se ye jahāñ
tā-qayāmat ai 'sanā' ye āḳhirī hai zindagī
reza-reza lamha-lamha ghaT rahi hai zindagi
jaante sab hain haqiqat 'arzi hai zindagi
lag raha hai koi apna hi nahin jaise yahan
sath ghairon ke hamari yun kaTi hai zindagi
aate jate marhale hi unsiyat ko kha gae
koft mein guzre yaqinan tirgi hai zindagi
sab khilaDi haar baiThe baziyan apni yahan
khel bhi kya kya nirale khelti hai zindagi
rab se ghafil jo hue to ranj-o-gham hi paoge
'ain mumkin KHwar hona lazmi hai zindagi
jo lakiren dekh kar da'wa KHudai ka kare
chal nujumi ye bata kitni bachi hai zindagi
KHub ujDa KHub sanwra aafaton se ye jahan
ta-qayamat ai 'sana' ye aaKHiri hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.