Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rishta jigar ka KHun-e-jigar se nahin raha

Fuzail Jafri

rishta jigar ka KHun-e-jigar se nahin raha

Fuzail Jafri

MORE BYFuzail Jafri

    rishta jigar ḳhūn-e-jigar se nahīñ rahā

    mausam tavāf-e-kūchā-o-dar nahīñ rahā

    dil yuuñ to gaah gaah sulagtā hai aaj bhī

    manzar magar vo raqs-e-sharar nahīñ rahā

    majbūr ho ke jhukne lagā hai yahāñ vahāñ

    ye sar bhī tere ḳhāk-ba-sar nahīñ rahā

    ghar to ḳhair zikr kyā hai ki zehn meñ

    naqsha bhī us bhare-pure ghar nahīñ rahā

    bāñdhā kisī ne raḳht-e-safar is tarah ki ab

    dil ko 'fuzail' shauq safar nahīñ rahā

    rishta jigar ka KHun-e-jigar se nahin raha

    mausam tawaf-e-kucha-o-dar ka nahin raha

    dil yun to gah gah sulagta hai aaj bhi

    manzar magar wo raqs-e-sharar ka nahin raha

    majbur ho ke jhukne laga hai yahan wahan

    ye sar bhi tere KHak-ba-sar ka nahin raha

    ghar ka to KHair zikr hi kya hai ki zehn mein

    naqsha bhi us bhare-pure ghar ka nahin raha

    bandha kisi ne raKHt-e-safar is tarah ki ab

    dil ko 'fuzail' shauq safar ka nahin raha

    Source:

    (Pg. 81)

    • Author: Fuzail Jafri
      • Publisher: Karnataka Urdu Academy, Bangalore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now