Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai

Maqsood Anwar Maqsood

rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai

Maqsood Anwar Maqsood

MORE BYMaqsood Anwar Maqsood

    rishtoñ meñ bhī aa.ī siyāsat kaisī be-īmānī hai

    haiñ saare alfāz shagufta lahje meñ vīrānī hai

    ho gayā mushkil kaise chhupā.ūñ sar se le kar paañv talak

    apnī chādar phaT saktī hai aisī khīñchā-tānī hai

    us ko paane koshish meñ jaan tirī halkān hai kyuuñ

    duniyā andar se pītal uupar sone paanī hai

    is hammām meñ sab nañge haiñ kis pe uThā.e uñglī kaun

    apnī apnī chaukhaT hai apnī apnī peshānī hai

    maiñ apne kamre meñ baiThā tanhā tanhā jaltā huuñ

    chhat par chham-chham naach rahī hai kaisī barkhā raanī hai

    aate jaate lamhe us ko dekh rahe haiñ hairat se

    taḳht banāyā hai sone do din sultānī hai

    ham ne kiyā 'maqsūd' ḳhasāre ye saudā jīvan bhar

    apne baare meñ nahīñ sochā baat sabhoñ maanī hai

    rishton mein bhi aai siyasat kaisi be-imani hai

    hain sare alfaz shagufta lahje mein virani hai

    ho gaya mushkil kaise chhupaun sar se le kar panw talak

    apni chadar phaT sakti hai aisi khincha-tani hai

    us ko pane ki koshish mein jaan teri halkan hai kyun

    duniya andar se pital upar sone ka pani hai

    is hammam mein sab nange hain kis pe uThae ungli kaun

    apni apni chaukhaT hai apni apni peshani hai

    main apne kamre mein baiTha tanha tanha jalta hun

    chhat par chham-chham nach rahi hai kaisi barkha rani hai

    aate jate lamhe us ko dekh rahe hain hairat se

    taKHt banaya hai sone ka do din ki sultani hai

    hum ne kiya 'maqsud' KHasare ka ye sauda jiwan bhar

    apne bare mein nahin socha baat sabhon ki mani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now