Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

riwayat thi ye samjhauta nahin tha

Zafar Naseemi

riwayat thi ye samjhauta nahin tha

Zafar Naseemi

MORE BYZafar Naseemi

    rivāyat thī ye samjhautā nahīñ thā

    maiñ sab thā koī merā nahīñ thā

    hamesha is liye nā-ḳhush rahā maiñ

    jo achchhā thā bahut achchhā nahīñ thā

    mire hisse meñ aaya sabr phal

    magar afsos vo mīThā nahīñ thā

    kahānī zindagī muḳhtasar thī

    alif-lailā afsāna nahīñ thā

    usī aañsū pe thī ummīd qaa.em

    jo us aañkh se chhalkā nahīñ thā

    tavāzun kho chukī barsoñ se duniyā

    jahāñ fir.aun thā muusā nahīñ thā

    sazā ġhairoñ ke jurmoñ milegī

    maiñ vo kāTūñgā jo boyā nahīñ thā

    sar-e-rah lūTte haiñ chain rahzan

    yahāñ aisā kabhī hotā nahīñ thā

    diloñ ke rishte kaise TuuT jaate

    ye do mulkoñ baTvārā nahīñ thā

    musāvāt-e-haram allāhu-akbar

    vahāñ koī baḌā chhoTā nahīñ thā

    ḳhudāyā baḳhsh de merī ḳhatā.eñ

    maiñ aksar hosh meñ rahtā nahīñ thā

    riwayat thi ye samjhauta nahin tha

    main sab ka tha koi mera nahin tha

    hamesha is liye na-KHush raha main

    jo achchha tha bahut achchha nahin tha

    mere hisse mein aaya sabr ka phal

    magar afsos wo miTha nahin tha

    kahani zindagi ki muKHtasar thi

    alif-laila ka afsana nahin tha

    usi aansu pe thi ummid qaem

    jo us ki aankh se chhalka nahin tha

    tawazun kho chuki barson se duniya

    jahan firaun tha musa nahin tha

    saza ghairon ke jurmon ki milegi

    main wo kaTunga jo boya nahin tha

    sar-e-rah luTte hain chain rahzan

    yahan aisa kabhi hota nahin tha

    dilon ke rishte kaise TuT jate

    ye do mulkon ka baTwara nahin tha

    musawat-e-haram allahu-akbar

    wahan koi baDa chhoTa nahin tha

    KHudaya baKHsh de meri KHataen

    main aksar hosh mein rahta nahin tha

    Source:

    Shakh-e-Aahu (Pg. 52)

    • Author: Zafar Naseemi
      • Publisher: Zafar Naseemi
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now