ro ro ke dil ka aalam sarshaar kar ke dekhun
ro ro ke dil kā 'ālam sarshār kar ke dekhūñ
chup rah ke us ko dekhūñ guftār kar ke dekhūñ
kis lafz-e-kun se us ne taḳhlīq kī hamārī
sau-sau tarah se ḳhud ko iz.hār kar ke dekhūñ
maiñ apne irtiqā se kuchh mutma.in nahīñ huuñ
so apnī vus'atoñ ko dīvār kar ke dekhūñ
hāsil na kar sakā maiñ us ko riyāzatoñ se
ik baar ḳhud ko phir se bekār kar ke dekhūñ
yuuñ bhī to dil kī qīmat girtī hī jā rahī hai
ghar se ise nikālūñ bāzār kar ke dekhūñ
dekhūñ tirī himāyat kartā hai kaun 'sānī'
tujh be-amāñ pe ik din maiñ vaar kar ke dekhūñ
ro ro ke dil ka 'alam sarshaar kar ke dekhun
chup rah ke us ko dekhun guftar kar ke dekhun
kis lafz-e-kun se us ne taKHliq ki hamari
sau-sau tarah se KHud ko izhaar kar ke dekhun
main apne irtiqa se kuchh mutmain nahin hun
so apni wus'aton ko diwar kar ke dekhun
hasil na kar saka main us ko riyazaton se
ek bar KHud ko phir se bekar kar ke dekhun
yun bhi to dil ki qimat girti hi ja rahi hai
ghar se ise nikalun bazar kar ke dekhun
dekhun teri himayat karta hai kaun 'sani'
tujh be-aman pe ek din main war kar ke dekhun
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 81)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.