Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rok de maut ko bhi aane se

Sharaf Mujaddidi

rok de maut ko bhi aane se

Sharaf Mujaddidi

MORE BYSharaf Mujaddidi

    rok de maut ko bhī aane se

    kaun uThe tere āstāne se

    bijliyāñ girtī haiñ gireñ ham par

    un ko matlab hai muskurāne se

    ho mubārak shabāb daulat

    kuchh to dilvā liye ḳhazāne se

    duḳht-e-raz aur kahāñ miltī

    khīñch laa.e sharāb-ḳhāne se

    jaan par ban ga.ī 'sharaf' āḳhir

    kyā milā haa.e dil lagāne se

    rok de maut ko bhi aane se

    kaun uThe tere aastane se

    bijliyan girti hain giren hum par

    un ko matlab hai muskurane se

    ho mubarak shabab ki daulat

    kuchh to dilwa liye KHazane se

    duKHt-e-raz aur tu kahan milti

    khinch lae sharab-KHane se

    jaan par ban gai 'sharaf' aaKHir

    kya mila hae dil lagane se

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. 13)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now