roz lashen hi nikalti hain jo aKHbaron ke bich
roz lāsheñ hī nikaltī haiñ jo aḳhbāroñ ke biich
qabr kī buniyād hogī ghar kī dīvāroñ ke biich
kaun sā vo sāniha thā jis ne pāgal kar diyā
kin ke chehre DhūñDte haiñ log bāzāroñ ke biich
likh do ulTe naam kī taḳhtī yahāñ par lag ga.ī
kaun ġham-ḳhvārī karegā ham se be-zāroñ ke biich
jaane kis kā muntazir hai kuchh bhī ye kahtā nahīñ
raat bhar ik aa.ina jaage hai dīvāroñ ke biich
raunaq-e-bāzār kī ham ko ḳhabar hotī hai ḳhuub
shahr-e-āvāra phire kyoñ ham se bīmāroñ ke biich
do dinoñ kī chāñdnī kā hai tamāshā aur kyā
muflisī phir aa basegī in hī galiyāroñ ke biich
koī to rasta nikāleñ un kī sohbat kā 'shamīm'
jism kī baisākhiyāñ TuuTī haiñ nādāroñ ke biich
roz lashen hi nikalti hain jo aKHbaron ke bich
qabr ki buniyaad hogi ghar ki diwaron ke bich
kaun sa wo saniha tha jis ne pagal kar diya
kin ke chehre DhunDte hain log bazaron ke bich
likh do ulTe nam ki taKHti yahan par lag gai
kaun gham-KHwari karega hum se be-zaron ke bich
jaane kis ka muntazir hai kuchh bhi ye kahta nahin
raat bhar ek aaina jage hai diwaron ke bich
raunaq-e-bazar ki hum ko KHabar hoti hai KHub
shahr-e-awara phire kyon hum se bimaron ke bich
do dinon ki chandni ka hai tamasha aur kya
muflisi phir aa basegi in hi galiyaron ke bich
koi to rasta nikalen un ki sohbat ka 'shamim'
jism ki baisakhiyan TuTi hain nadaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.