roz wo mera us se ghafil ho jaana
roz vo merā us se ġhāfil ho jaanā
ghar se nikalnā bhiiḌ meñ shāmil ho jaanā
merā bharosa karnā kachche rangoñ par
chhūte hī har naqsh kā bātil ho jaanā
kitnā yaqīñ thā fat.h pe sachchā.ī kī mujhe
vo merā lashkar ke muqābil ho jaanā
vo mirā honā nok-e-palak vaalā aisā
aur mujh par har kaam kā mushkil ho jaanā
shab kā vo Dhalnā palkoñ ke sā.e-sā.e
us kī āñkhoñ kā phir qātil ho jaanā
'zeb' is hastī kā hāsil lā-hāsil kyā
hāsil ho jaanā lā-hāsil ho jaanā
roz wo mera us se ghafil ho jaana
ghar se nikalna bhiD mein shamil ho jaana
mera bharosa karna kachche rangon par
chhute hi har naqsh ka baatil ho jaana
kitna yaqin tha fath pe sachchai ki mujhe
wo mera lashkar ke muqabil ho jaana
wo mera hona nok-e-palak wala aisa
aur mujh par har kaam ka mushkil ho jaana
shab ka wo Dhalna palkon ke sae-sae
us ki aankhon ka phir qatil ho jaana
'zeb' is hasti ka hasil la-hasil kya
hasil ho jaana la-hasil ho jaana
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 51)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.