ruKH badalte hi chale jaiyega
ruḳh badalte hī chale jā.iyegā
chaal chalte hī chale jā.iyegā
sochiye to kabhī bahlāne kī bhī
yā bahalte hī chale jā.iyegā
dil ke raste pe hai aisī phislan
ki phisalte hī chale jā.iyegā
marhala raat kā sar kar liije
din nikalte hī chale jā.iyegā
haath bhī Dāliye us par ki yuñhī
haath malte hī chale jā.iyegā
kyā huā haiñ jo savā neze pe aap
abhī Dhalte hī chale jā.iyegā
do qadam par hai mohabbat kī galī
chalte chalte hī chale jā.iyegā
ruKH badalte hi chale jaiyega
chaal chalte hi chale jaiyega
sochiye to kabhi bahlane ki bhi
ya bahalte hi chale jaiyega
dil ke raste pe hai aisi phislan
ki phisalte hi chale jaiyega
marhala raat ka sar kar lije
din nikalte hi chale jaiyega
hath bhi Daliye us par ki yunhi
hath malte hi chale jaiyega
kya hua hain jo sawa neze pe aap
abhi Dhalte hi chale jaiyega
do qadam par hai mohabbat ki gali
chalte chalte hi chale jaiyega
- Book : Mohabbat Jab Nahin Hogi (Pg. 69)
- Author : Aftab Husain
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.