Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruKH ki rangat gulab ki si hai

Fazal Husain Sabir

ruKH ki rangat gulab ki si hai

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    ruḳh rañgat gulāb hai

    aur chamak āftāb hai

    kam-sinī meñ vo āfat-e-jāñ haiñ

    jo adā hai shabāb hai

    aap ke hote huur ko chāheñ

    kyā vo sūrat janāb hai

    ġhunche meñ koī baat bhī kahiye

    dahan-e-lā-javāb hai

    āñkheñ nargis laḌātī hai ham se

    ye bhī us be-hijāb hai

    ai gul-e-tar tire pasīne meñ

    rañg aur gulāb hai

    na ho bāvar to dekheñ ā.īna

    shakl is meñ janāb hai

    raushnī māh-o-mehr-e-anvar meñ

    kab ruḳh-e-lā-javāb hai

    abhī ubhre abhī miTeñge ham

    apnī hastī habāb hai

    kyuuñ na chūmeñ tumhārī sūrat ko

    ye ḳhudā kitāb hai

    tarz un ke sitam ai 'sābir'

    karam-e-be-hisāb hai

    ruKH ki rangat gulab ki si hai

    aur chamak aaftab ki si hai

    kam-sini mein wo aafat-e-jaan hain

    jo ada hai shabab ki si hai

    aap ke hote hur ko chahen

    kya wo surat janab ki si hai

    ghunche mein koi baat bhi kahiye

    dahan-e-la-jawab ki si hai

    aankhen nargis laDati hai hum se

    ye bhi us be-hijab ki si hai

    ai gul-e-tar tere pasine mein

    rang aur bu gulab ki si hai

    na ho bawar to dekhen aaina

    shakl is mein janab ki si hai

    raushni mah-o-mehr-e-anwar mein

    kab ruKH-e-la-jawab ki si hai

    abhi ubhre abhi miTenge hum

    apni hasti habab ki si hai

    kyun na chumen tumhaari surat ko

    ye KHuda ki kitab ki si hai

    tarz un ke sitam ki ai 'sabir'

    karam-e-be-hisab ki si hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now