ruswa kare mujhe ki asir-e-bala kare
rusvā kare mujhe ki asīr-e-balā kare
jo chāhe vo mirā dil-e-dard-āshnā kare
raazī huuñ maiñ vo qatl kare yā jafā kare
bas meñ kisī ke dil na kisī kā ḳhudā kare
muusā na taab laa.e tabassum kī ek din
maiñ chāhtā huuñ roz ye bijlī girā kare
merī tarah kā dil na kisī ko nasīb ho
un kī tarah javāñ na kisī ko ḳhudā kare
maqsūd imtihāñ mirī himmat kā hai agar
har roz āshiyāne pe bijlī girā kare
be-khaTke aao hashr meñ ulTe hue naqāb
kis kī majāl hai jo tumhārā gila kare
haañ muskurā ke naaz se añgḌā.ī lījiye
bijlī kisī ke dil pe gire to girā kare
jis dil kī 'shams' koī na hasrat nikal sake
mar jaa.e vo ġharīb na āḳhir to kyā kare
ruswa kare mujhe ki asir-e-bala kare
jo chahe wo mera dil-e-dard-ashna kare
raazi hun main wo qatl kare ya jafa kare
bas mein kisi ke dil na kisi ka KHuda kare
musa na tab lae tabassum ki ek din
main chahta hun roz ye bijli gira kare
meri tarah ka dil na kisi ko nasib ho
un ki tarah jawan na kisi ko KHuda kare
maqsud imtihan meri himmat ka hai agar
har roz aashiyane pe bijli gira kare
be-khaTke aao hashr mein ulTe hue naqab
kis ki majal hai jo tumhaara gila kare
han muskura ke naz se angDai lijiye
bijli kisi ke dil pe gire to gira kare
jis dil ki 'shams' koi na hasrat nikal sake
mar jae wo gharib na aaKHir to kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.