aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain

Zafar Imam

sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain

Zafar Imam

MORE BYZafar Imam

    sāhil par dariyā lahreñ sajda kartī rahtī haiñ

    lauT ke phir aane jaane va.adā kartī rahtī haiñ

    kyā jaane kab dhartī par sailāb manzar ho jaa.e

    har-dam ye majbūr nigāheñ varshā kartī rahtī haiñ

    un nayyā bin māñjhī ke paar karegī sab dariyā

    kyūñki Dher duā.eñ jaise pīchhā kartī rahtī haiñ

    kis kis manzar par ḳhud ko ranjīda kar luuñ sochūñgā

    har manzar par āñhkeñ merī nauha kartī rahtī haiñ

    be-mehnat jab roTī qaidī ban jaatī hai thālī

    be-ġhairat rāteñ mujh se shikva kartī rahtī haiñ

    patthar ho jaa.eñ paanī rim-jhim rim-jhim barsā.eñ

    āñhkeñ saare manzar ko ā.īna kartī rahtī haiñ

    sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain

    lauT ke phir aane jaane ka wada karti rahti hain

    kya jaane kab dharti par sailab ka manzar ho jae

    har-dam ye majbur nigahen warsha karti rahti hain

    un ki nayya bin manjhi ke par karegi sab dariya

    kyunki Dher duaen jaise pichha karti rahti hain

    kis kis manzar par KHud ko ranjida kar lun sochunga

    har manzar par aanhken meri nauha karti rahti hain

    be-mehnat jab roTi qaidi ban jati hai thaali ki

    be-ghairat si raaten mujh se shikwa karti rahti hain

    patthar ho jaen ya pani rim-jhim rim-jhim barsaen

    aanhken sare manzar ko aaina karti rahti hain

    Source:

    Ehsas Ki Hijrat (Pg. 45)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now