aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahilon ka bhi na ehsan tha gawara mujhko

Muntazir Qaimi

sahilon ka bhi na ehsan tha gawara mujhko

Muntazir Qaimi

MORE BYMuntazir Qaimi

    sāhiloñ bhī na ehsāñ thā gavārā mujh ko

    itnā dariyā ke talātum ne sañvārā mujh ko

    pyaas aisī hai ki andar se sulagtā hai badan

    aur paanī ke sivā kuchh nahīñ chārā mujh ko

    ab to dāman ko lapakte haiñ lahū ke sho.ale

    aur pukāre hai kahīñ ḳhuun dhārā mujh ko

    ḳhūñ-bahā le ke abhī ḳhair se palTe bhī na the

    maqtal-e-ḳhauf meñ phir kis ne pukārā mujh ko

    pāsdārī jaḌeñ maiñ ne hilā kar rakh diiñ

    vo samajhte the faqat iiñT aur gaarā mujh ko

    ajnabī shahr begāna mizājī ke ḳhilāf

    mere saa.e ne diyā kitnā sahārā mujh ko

    dard dard kamāte ho magar kahte ho

    ishq ke khel meñ hotā hai ḳhasāra mujh ko

    surma.ī shaam ke chehre pe hayā āñchal

    achchhā lagtā hai bahut aisā nazāra mujh ko

    maiñ to jugnū tarah shab meñ pareshāñ hairāñ

    raat bhī kahtī hai āvāra sitāra mujh ko

    sahilon ka bhi na ehsan tha gawara mujh ko

    itna dariya ke talatum ne sanwara mujh ko

    pyas aisi hai ki andar se sulagta hai badan

    aur pani ke siwa kuchh nahin chaara mujh ko

    ab to daman ko lapakte hain lahu ke shoale

    aur pukare hai kahin KHun ka dhaara mujh ko

    KHun-baha le ke abhi KHair se palTe bhi na the

    maqtal-e-KHauf mein phir kis ne pukara mujh ko

    pasdari ki jaDen main ne hila kar rakh din

    wo samajhte the faqat inT aur gara mujh ko

    ajnabi shahr ki begana mizaji ke KHilaf

    mere sae ne diya kitna sahaara mujh ko

    dard hi dard kamate ho magar kahte ho

    ishq ke khel mein hota hai KHasara mujh ko

    surmai sham ke chehre pe haya ka aanchal

    achchha lagta hai bahut aisa nazara mujh ko

    main to jugnu ki tarah shab mein pareshan hairan

    raat bhi kahti hai aawara sitara mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now