Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne aao ki main chehra-e-zeba dekhun

Mahboob Dehlavi

samne aao ki main chehra-e-zeba dekhun

Mahboob Dehlavi

MORE BYMahboob Dehlavi

    sāmne aao ki maiñ chehra-e-zebā dekhūñ

    aur is ā.īne meñ aks phir apnā dekhūñ

    tum manzil ho tum gauhar-e-maqsūd mirā

    dekh kar tum ko maiñ kyā aur tamāshā dekhūñ

    tum batlāo ki is kār-gah-e-hastī meñ

    kyā na dekhūñ maiñ agar dekhūñ to kyā kyā dekhūñ

    tujh ko ye naaz koī na sakegā hargiz

    mujh ko ye zid ki tirā naqsh-e-kaf-e-pā dekhūñ

    ne chāhā to bahut gardish-e-ayyām ki maiñ

    ḳhud tamāshā banūñ apnā tamāshā dekhūñ

    kaash is ziist meñ vo vaqt bhī aa.e 'mahbūb'

    chaar dahr meñ īmāñ ujālā dekhūñ

    samne aao ki main chehra-e-zeba dekhun

    aur is aaine mein aks phir apna dekhun

    tum hi manzil ho tum hi gauhar-e-maqsud mera

    dekh kar tum ko main kya aur tamasha dekhun

    tum hi batlao ki is kar-gah-e-hasti mein

    kya na dekhun main agar dekhun to kya kya dekhun

    tujh ko ye naz koi pa na sakega hargiz

    mujh ko ye zid ki tera naqsh-e-kaf-e-pa dekhun

    tu ne chaha to bahut gardish-e-ayyam ki main

    KHud tamasha banun apna hi tamasha dekhun

    kash is zist mein wo waqt bhi aae 'mahbub'

    chaar su dahr mein iman ka ujala dekhun

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 144)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now