Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanp sa leTa hua sunsan rasta samne tha

Rafiq Raaz

sanp sa leTa hua sunsan rasta samne tha

Rafiq Raaz

MORE BYRafiq Raaz

    saañp leTā huā sunsān rasta sāmne thā

    ḳhatra āġhāz-e-safar meñ ek aisā sāmne thā

    dasht meñ ghamsān vo ran paḌā thā kuchh na pūchho

    dhuup merī pusht par thī aur saayā sāmne thā

    ab to un āñkhoñ ke aage ā.īna hai aur maiñ huuñ

    haa.e mizhgāñ kholne se pahle kyā kyā sāmne thā

    buzdil aise the bhigo paa.e na apne haath tak ham

    donoñ baazū the salāmat aur dariyā sāmne thā

    maiñ masāfat tarah thā biich meñ simTā huā

    pusht jānib samundar aur sahrā sāmne thā

    vasl ke ḳhvāboñ meñ ab vo raushnī baaqī nahīñ thī

    hijr rātoñ meñ sone natīja sāmne thā

    sanp sa leTa hua sunsan rasta samne tha

    KHatra aaghaz-e-safar mein ek aisa samne tha

    dasht mein ghamsan ka wo ran paDa tha kuchh na puchho

    dhup meri pusht par thi aur saya samne tha

    ab to un aankhon ke aage aaina hai aur main hun

    hae mizhgan kholne se pahle kya kya samne tha

    buzdil aise the bhigo pae na apne hath tak hum

    donon bazu the salamat aur dariya samne tha

    main masafat ki tarah tha bich mein simTa hua sa

    pusht ki jaanib samundar aur sahra samne tha

    wasl ke KHwabon mein ab wo raushni baqi nahin thi

    hijr ki raaton mein sone ka natija samne tha

    Source:

    Nakhl-e-Aab (Pg. 195)

    • Author: Rafeeq Raaz
      • Edition: 2015
      • Publisher: Takbeer Publications, Srinagar
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now