sans lene ko ye duniya ki pawan Thik nahin
saañs lene ko ye duniyā kī pavan Thiik nahīñ
aur phir in dinoñ merā bhī to man Thiik nahīñ
is kī bharpā.ī meñ 'umreñ kahīñ na ban meñ kaTeñ
tum jo har baat pe dete ho vachan Thiik nahīñ
roz hī dekhtī huuñ phone meñ terā number
roz hī sochtī huuñ itnī lagan Thiik nahīñ
shā'iroñ se kaho ḳhushiyoñ kī bhī bāteñ kar leñ
dard meñ Duubā huā itnā suḳhan Thiik nahīñ
kaise us pyaar bharī laḌkī ko ye samjhā.ūñ
vo jo rahtī hai tirī dhun meñ magan Thiik nahīñ
she'r apne kisī kam-zarf ke aage na sunā
dil ke rishtoñ meñ dimāġhoñ kā chalan Thiik nahīñ
mujh se ab karne lage baat dar-o-bām mire
khiḌkiyoñ ne bhī kahā itnī ghuTan Thiik nahīñ
apnī shartoñ pe bhalā kis liye jiinā chhoḌūñ
shyām ne kab kahā miirā ke bhajan Thiik nahīñ
sans lene ko ye duniya ki pawan Thik nahin
aur phir in dinon mera bhi to man Thik nahin
is ki bharpai mein 'umren kahin na ban mein kaTen
tum jo har baat pe dete ho wachan Thik nahin
roz hi dekhti hun phone mein tera number
roz hi sochti hun itni lagan Thik nahin
sha'iron se kaho KHushiyon ki bhi baaten kar len
dard mein Duba hua itna suKHan Thik nahin
kaise us pyar bhari laDki ko ye samjhaun
wo jo rahti hai teri dhun mein magan Thik nahin
she'r apne kisi kam-zarf ke aage na suna
dil ke rishton mein dimaghon ka chalan Thik nahin
mujh se ab karne lage baat dar-o-baam mere
khiDkiyon ne bhi kaha itni ghuTan Thik nahin
apni sharton pe bhala kis liye jina chhoDun
shyam ne kab kaha mera ke bhajan Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.