saqi ye pila usko jo ho jam se waqif
saaqī ye pilā us ko jo ho jaam se vāqif
ham aaj talak mai ke nahīñ naam se vāqif
mastī ke sivā daur meñ us chashm-e-siyah ke
kāfir ho jo ho gardish-e-ayyām se vāqif
mar kar bhī tah-e-ḳhāk na āsūda hue aah
ai ishq na the ham tire anjām se vāqif
sayyād kī ulfat se phañse aan ke varna
the kaahe ko ham is qafas o daam se vāqif
milne kā payām us se kaho jā ke azīzo
jo us ke na ho vasl ke paiġhām se vāqif
auroñ se qasam khā.iye aur ham to mirī jaañ
haiñ ḳhuub tumhārī qasam-aqsām se vāqif
koī nahīñ kartā jo kiyā tū ne 'nazīr' aah
dil us ko diyā jis ke nahīñ naam se vāqif
saqi ye pila us ko jo ho jam se waqif
hum aaj talak mai ke nahin nam se waqif
masti ke siwa daur mein us chashm-e-siyah ke
kafir ho jo ho gardish-e-ayyam se waqif
mar kar bhi tah-e-KHak na aasuda hue aah
ai ishq na the hum tere anjam se waqif
sayyaad ki ulfat se phanse aan ke warna
the kahe ko hum is qafas o dam se waqif
milne ka payam us se kaho ja ke azizo
jo us ke na ho wasl ke paigham se waqif
auron se qasam khaiye aur hum to meri jaan
hain KHub tumhaari qasam-aqsam se waqif
koi nahin karta jo kiya tu ne 'nazir' aah
dil us ko diya jis ke nahin nam se waqif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.