saqiya kaun gaya ruTh ke maiKHane se
sāqiyā kaun gayā ruuTh ke maiḳhāne se
jaam mil mil ke gale rote haiñ paimāne se
hai vahī kashmakash-e-zīst kā 'ālam ab tak
bār-e-ġham aaj bhī kam ho na sakā shāne se
ab to is peḌ ke saa.e se bhī Dar lagtā hai
qāfile kitne luTe haiñ yahāñ ruk jaane se
aap is ghar meñ jo aa.e haiñ to yuuñ lagtā hai
chāñdnī khel rahī hai kisī vīrāne se
shīsha-e-dil ko judā sang-diloñ se rakhnā
Tuut saktā hai kisī vaqt bhī Takrāne se
merā ġham to ġham-e-duniyā hai zamāne vaalo
is ko tashbīh na do qais ke afsāne se
kis kī qismat meñ likhā kis ko pata kyā 'ġhaibī'
kaam apnā hai faqat yaar ke yārāne se
saqiya kaun gaya ruTh ke maiKHane se
jam mil mil ke gale rote hain paimane se
hai wahi kashmakash-e-zist ka 'alam ab tak
bar-e-gham aaj bhi kam ho na saka shane se
ab to is peD ke sae se bhi Dar lagta hai
qafile kitne luTe hain yahan ruk jaane se
aap is ghar mein jo aae hain to yun lagta hai
chandni khel rahi hai kisi virane se
shisha-e-dil ko juda sang-dilon se rakhna
Tut sakta hai kisi waqt bhi Takrane se
mera gham to gham-e-duniya hai zamane walo
is ko tashbih na do qais ke afsane se
kis ki qismat mein likha kis ko pata kya 'ghaibi'
kaam apna hai faqat yar ke yarane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.