aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare ushshaq se hum achchhe hain

Dattatriya Kaifi

sare ushshaq se hum achchhe hain

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    saare ushshāq se ham achchhe haiñ

    haañ tire sar qasam achchhe haiñ

    uljhā rahne do zulfoñ ko sanam

    jo na khul jaa.eñ bharam achchhe haiñ

    koī jañchtā nahīñ us but ke sivā

    aur bhī yuuñ to sanam achchhe haiñ

    hashr tak mujh ko jalā.e rakkhā

    ye hasīnoñ ke bhī dam achchhe haiñ

    bahs ho jaa.e to sab par khul jaa.e

    haiñ bhale aap ki ham achchhe haiñ

    ġhair kuchh nahīñ shirkat is meñ

    ham ko ye tere sitam achchhe haiñ

    jiite haiñ ārzū-e-qatl meñ ham

    dam tire teġh-e-do-dam achchhe haiñ

    na huā ka.abe dīdār nasīb

    ham se āhū-e-haram achchhe haiñ

    ḳhuub hai vaqt jo kaT jaatā hai

    jo guzar jaate haiñ dam achchhe haiñ

    pūchhte kyā haiñ mizāj-e-'kaifī'

    aap lutf-o-karam achchhe haiñ

    sare ushshaq se hum achchhe hain

    han tere sar ki qasam achchhe hain

    uljha hi rahne do zulfon ko sanam

    jo na khul jaen bharam achchhe hain

    koi janchta nahin us but ke siwa

    aur bhi yun to sanam achchhe hain

    hashr tak mujh ko jalae rakkha

    ye hasinon ke bhi dam achchhe hain

    bahs ho jae to sab par khul jae

    hain bhale aap ki hum achchhe hain

    ghair ki kuchh nahin shirkat is mein

    hum ko ye tere sitam achchhe hain

    jite hain aarzu-e-qatl mein hum

    dam tere tegh-e-do-dam achchhe hain

    na hua kabe ka didar nasib

    hum se aahu-e-haram achchhe hain

    KHub hai waqt jo kaT jata hai

    jo guzar jate hain dam achchhe hain

    puchhte kya hain mizaj-e-'kaifi'

    aap ka lutf-o-karam achchhe hain

    Source:

    Waridat (Pg. 510)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now