sari duniya mein mere ji ko laga ek hi shaKHs
saarī duniyā meñ mire jī ko lagā ek hī shaḳhs
ek hī shaḳhs thā aisā ba-ḳhudā ek hī shaḳhs
darja-e-kufr sahī madh-e-jamāl-e-jānāñ
dil kī pūchho to ḳhudā se bhī banā ek hī shaḳhs
aisā lagtā hai sabhī 'ishq kisī ek se the
aisā lagtā hai mujhe miltā rahā ek hī shaḳhs
vo jo maiñ us kī mohabbat bhī kisī aur se kī
un dinoñ shahr kā har shaḳhs lagā ek hī shaḳhs
maiñ to ai 'ishq tirī kūza-garī jāntā huuñ
tū ne ham do ko milāyā to banā ek hī shaḳhs
mujh se nārāz na honā mire achchhe logo
kyā karūñ merī mohabbat ne chunā ek hī shaḳhs
tū jo kahtā hai tire jaise ka.ī aur bhī haiñ
tujh ko dā'vā hai to phir ḳhud sā dikhā ek hī shaḳhs
tū jise chāhtā hai maiñ bhī use chāhtā huuñ
achchhā lagtā hai mujhe tere sivā ek hī shaḳhs
dost sab se kahāñ khiñchtā hai ġhazal kā chilla
hujra-e-‘mīr’ meñ hotā hai sadā ek hī shaḳhs
sari duniya mein mere ji ko laga ek hi shaKHs
ek hi shaKHs tha aisa ba-KHuda ek hi shaKHs
darja-e-kufr sahi madh-e-jamal-e-jaanan
dil ki puchho to KHuda se bhi bana ek hi shaKHs
aisa lagta hai sabhi 'ishq kisi ek se the
aisa lagta hai mujhe milta raha ek hi shaKHs
wo jo main us ki mohabbat bhi kisi aur se ki
un dinon shahr ka har shaKHs laga ek hi shaKHs
main to ai 'ishq teri kuza-gari jaanta hun
tu ne hum do ko milaya to bana ek hi shaKHs
mujh se naraaz na hona mere achchhe logo
kya karun meri mohabbat ne chuna ek hi shaKHs
tu jo kahta hai tere jaise kai aur bhi hain
tujh ko da'wa hai to phir KHud sa dikha ek hi shaKHs
tu jise chahta hai main bhi use chahta hun
achchha lagta hai mujhe tere siwa ek hi shaKHs
dost sab se kahan khinchta hai ghazal ka chilla
hujra-e-‘mir’ mein hota hai sada ek hi shaKHs
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 91)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.