sath jine ka tere haq jo agar mil jata
saath jiine kā tire haq jo agar mil jaatā
dil mirā baaġh ke phūloñ kī tarah khil jaatā
ḳhud ko maiñ gar na bachā paatā hasīnāoñ se
jaan se merā hamesha ke liye dil jaatā
lashkarī āñkho se bachtā na agar maiñ us kī
ḳhaak meñ ḳhud meñ hamesha ke liye mil jaatā
merā mushkil meñ koī saath nahīñ detā agar
qatl kar ke jo mirā sar koī qātil jaatā
rang uḌ jaatā tire ruḳh kā bhī 'parvez' miyāñ
tū vafā ke bane ḳhanjar se agar chhil jaatā
sath jine ka tere haq jo agar mil jata
dil mera bagh ke phulon ki tarah khil jata
KHud ko main gar na bacha pata hasinaon se
jaan se mera hamesha ke liye dil jata
lashkari aankho se bachta na agar main us ki
KHak mein KHud mein hamesha ke liye mil jata
mera mushkil mein koi sath nahin deta agar
qatl kar ke jo mera sar koi qatil jata
rang uD jata tere ruKH ka bhi 'parwez' miyan
tu wafa ke bane KHanjar se agar chhil jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.