Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno

Rauf Raza

sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno

Rauf Raza

MORE BYRauf Raza

    sab hot na hot se nathrī huī āsān ġhazal huuñ chhā ke suno

    kabhī guzro nūr-sarā se merī kabhī mujh ko mujh se churā ke suno

    mirā dil bhī koī panghaT hai jahāñ pariyāñ paanī bhartī haiñ

    koī piiḌā nahīñ koī shor nahīñ sab paanī mirā gahrā ke suno

    din raat zamīn gardish par sur-tāl biThāte rahte ho

    kabhī ḳhud ko bhī hairān karo kabhī dil baat sunā ke suno

    jo gardan meñ ik ḳham hai ye kab se huā ma.alūm nahīñ

    ye shaan nishān to miltā hai jab siine pathrā ke suno

    sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno

    kabhi guzro nur-sara se meri kabhi mujh ko mujh se chura ke suno

    mera dil bhi koi panghaT hai jahan pariyan pani bharti hain

    koi piDa nahin koi shor nahin sab pani mera gahra ke suno

    din raat zamin ki gardish par sur-tal biThate rahte ho

    kabhi KHud ko bhi hairan karo kabhi dil ki baat suna ke suno

    jo gardan mein ek KHam sa hai ye kab se hua malum nahin

    ye shan nishan to milta hai jab sine ki pathra ke suno

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rauf Raza

    Rauf Raza

    RECITATIONS

    Rauf Raza

    Rauf Raza,

    Rauf Raza

    sab hot na hot se nathri hui aasan ghazal hun chha ke suno Rauf Raza

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now