Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhi ke samne rota tha aur hansta tha

Sunil Aftab

sabhi ke samne rota tha aur hansta tha

Sunil Aftab

MORE BYSunil Aftab

    sabhī ke sāmne rotā thā aur hañstā thā

    vo merā 'ishq bhī pahlā thā aur hañstā thā

    kisī ke shaap ne patthar banā diyā mujh ko

    kabhī vo vaqt thā rotā thā aur hañstā thā

    'ajab junūn thā us ko 'ajab vahshat thī

    vo apnī ḳhaak uḌātā thā aur hañstā thā

    na.e-na.e se marāsim the un dinoñ us se

    nigāh pher bhī letā thā aur hañstā thā

    vo din aise the vo zindagī bhī aisī thī

    ġhamoñ ko saath meñ rakhtā thā aur hañstā thā

    ye kaisā rog thā kaisā viyog thā us ko

    vo apnā dard baḌhātā thā aur hañstā thā

    sabhi ke samne rota tha aur hansta tha

    wo mera 'ishq bhi pahla tha aur hansta tha

    kisi ke shap ne patthar bana diya mujh ko

    kabhi wo waqt tha rota tha aur hansta tha

    'ajab junun tha us ko 'ajab si wahshat thi

    wo apni KHak uData tha aur hansta tha

    nae-nae se marasim the un dinon us se

    nigah pher bhi leta tha aur hansta tha

    wo din hi aise the wo zindagi bhi aisi thi

    ghamon ko sath mein rakhta tha aur hansta tha

    ye kaisa rog tha kaisa wiyog tha us ko

    wo apna dard baDhata tha aur hansta tha

    Source :
    • Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 33)
    • Author : Sunil Aftab
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now