Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai

Mahfooz Asar

sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai

Mahfooz Asar

MORE BYMahfooz Asar

    sabz shāḳhoñ pe zamāne nazar hotī hai

    kis ko sūkhe hue pattoñ ḳhabar hotī hai

    sadaf-e-chashm se bāhar jo na aane paa.e

    buuñd ashkoñ vahī misl-e-guhar hotī hai

    yaad ġhurbat meñ jab aatī hai vatan mujh ko

    nā-gahāñ aañkh mirī ashkoñ se tar hotī hai

    daf.atan dil har ik zaḳhm ubhar jaatā hai

    jab bhī tasvīr tirī pesh-e-nazar hotī hai

    shaam hote sulag jaate haiñ har ghar meñ charāġh

    Duub jaate haiñ sitāre to sahar hotī hai

    phuul to phuul haiñ patte nahīñ ugte jin meñ

    aise peḌoñ se bhī umīd-e-samar hotī hai

    aib-jūī meñ shab-o-roz guzāreñ jo 'asar'

    apne kirdār pe kab un nazar hotī hai

    sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai

    kis ko sukhe hue patton ki KHabar hoti hai

    sadaf-e-chashm se bahar jo na aane pae

    bund ashkon ki wahi misl-e-guhar hoti hai

    yaad ghurbat mein jab aati hai watan ki mujh ko

    na-gahan aankh meri ashkon se tar hoti hai

    dafatan dil ka har ek zaKHm ubhar jata hai

    jab bhi taswir teri pesh-e-nazar hoti hai

    sham hote hi sulag jate hain har ghar mein charagh

    Dub jate hain sitare to sahar hoti hai

    phul to phul hain patte nahin ugte jin mein

    aise peDon se bhi umid-e-samar hoti hai

    aib-jui mein shab-o-roz guzaren jo 'asar'

    apne kirdar pe kab un ki nazar hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now