sach ke chehre par jami ye gard bhi jati nahin
sach ke chehre par jamī ye gard bhī jaatī nahīñ
aur mujh se jhuuT kī tā'rīf kī jaatī nahīñ
raushnī dene se pahle shart aisī laad dī
raushnī bhī raushnī ham se kahī jaatī nahīñ
ho gayā hai aadmī jab āñsuoñ se tar-ba-tar
kyoñ bhalā phir paap kī gāgar bharī jaatī nahīñ
chāñd sūraj phuul jharne sab hamāre hī to haiñ
baat apnī muflisī kī ham se kī jaatī nahīñ
sach ke chehre par jami ye gard bhi jati nahin
aur mujh se jhuT ki ta'rif ki jati nahin
raushni dene se pahle shart aisi lad di
raushni bhi raushni hum se kahi jati nahin
ho gaya hai aadmi jab aansuon se tar-ba-tar
kyon bhala phir pap ki gagar bhari jati nahin
chand suraj phul jharne sab hamare hi to hain
baat apni muflisi ki hum se ki jati nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.